kuchh aise tere badan ka yahan nishan khulega
ki jis tarah se samundar mein baadban khulega
ye sochte hi mere hath-paon phul gae
mera nishan kahani mein kab kahan khulega
guzarte waqt kisi ko KHabar nahin thi yahan
ki ek dam se dilon par ye KHak-dan khulega
main daen-baen kisi aur samt bhi dekhun
kise KHabar ki kahan se ye darmiyan khulega
yahan ye kaun tujhe yaad rakkhega ai 'aziz'
ki tere baad hi ye zikr-e-dostan khulega
Ghazal
Kuchh aise tere badan ka yahan nishan khulega
Waqas Aziz