kuchh aisa utra main us sang-dil ke shishe mein
ki chand sans bhi aae na apne hisse mein
wo ek aise samundar ke rup mein aaya
ki umr kaT gai jis ko ubur karne mein
mujhe KHud apni talab ka nahin hai andaza
ye kaenat bhi thoDi hai mere kase mein
mili to hai meri tanhaiyon ko aazadi
juDi hui hain kuchh aankhen magar dariche mein
ghanim bhi koi mujh ko nazar nahin aata
ghira hua bhi hun chaaron taraf se KHatre mein
mera shuur bhi shayad wo tifl-e-kam-sin hai
bichhaD gaya hai jo gumrahiyon ke mele mein
hunar hai shairi shatranj shauq hai mera
ye jaidad 'muzaffar' mili hai wirse mein
Ghazal
Kuchh aisa utra main us sang-dil ke shishe mein
Muzaffar Warsi