kuchh aisa tha gumrahi ka saya
apna hi pata na hum ne paya
dil kis ke jamal mein hua gum
aksar ye KHayal hi na aaya
hum to tere zikr ka hue juzw
tu ne hamein kis tarah bhulaya
ai dost teri nazar se mera
aiwan-e-nigah jag muskaya
KHurshed usi ko hum ne jaana
jo zarra zamin pe muskuraya
maqsud thi tazgi chaman ki
hum ne rag-e-jaan se KHun bahaya
uftad hai sab ki apni apni
kis ne hai kisi ka gham baTaya
marumi-e-jawedan hai aur main
main zauq-e-talab se baz aaya
har gham pe hai mere nam ki mahr
'fitrat' koi gham nahin paraya
Ghazal
Kuchh aisa tha gumrahi ka saya
Abdul Aziz Fitrat