kuchh aisa bhi to ho jae kabhi aisa kare koi
banae KHud nasheman aur phir sahra kare koi
tumhaare nam ke hamrah mera nam le duniya
mera dil chahta hai phir mujhe ruswa kare koi
agar tu mil nahin sakta to kuchh tadbir aisi ho
meri aankhon se tujh ko umr-bhar dekha kare koi
KHirad par log nazan hain junun par faKHr hai mujh ko
junun se mere apni aql ka sauda kare koi
ye fitrat kab bhala insaniyat se mel khati hai
safina Dubta ho dur se dekha kare koi
wo dil mein jaguzin hai mustaqil hai jalwa-farmai
bhala aise mein phir kis tarah se parda kare koi
hujum-e-gham sambhalta hi nahin ai 'shama' ab mujh se
kabhi to kash aisa ho mujhe tanha kare koi
Ghazal
Kuchh aisa bhi to ho jae kabhi aisa kare koi
Syeda Nafis Bano shama