kuchh ab ke rasm-e-jahan ke KHilaf karna hai
shikast de ke adu ko maf karna hai
hawa ko zid ki uDaegi dhul har surat
hamein ye dhun hai ki aaina saf karna hai
wo bolta hai to sab log aise sunte hain
ki jaise us ne koi inkishaf karna hai
mujhe pata hai ki apne bayan se us ne
kahan kahan pe abhi inhiraf karna hai
charagh le ke hatheli pe ghumna aise
hawa-e-tund ko apne KHilaf karna hai
wo jurm hum se jo sarzad nahin hue 'azhar'
abhi to un ka hamein e'tiraf karna hai
Ghazal
Kuchh ab ke rasm-e-jahan ke KHilaf karna hai
Azhar Adeeb