kuchh ab ke jang pe us ki giraft aisi thi
dar-asl tha wahi fateh shikast aisi thi
KHush-amdid nai raushni ko kyun kahti
hamari qaum qadamat-parast aisi thi
hawas-o-hosh koi bhi na rakh saka qaem
hawa-e-taza bhi shoala-ba-dast aisi thi
nafas nafas ko hum apna gawah karne lage
hamare samt sada-e-alast aisi thi
shanaKHt kar na saka aaina-nazar bhi use
har ek shaKH-e-badan laKHt laKHt aisi thi
hazar rang ke jalwon se thi faza mamur
guzishta raat 'mubarak' nashist aisi thi
Ghazal
Kuchh ab ke jang pe uski giraft aisi thi
Mubarak Ansari