kuchh aansu ro lene ke baad nazar-e-KHwab ho gaya
main tum ko yaad karte karte gahri nind so gaya
ragen lakiren ho gain masam nuqte ban gae
badan tumhaari yaad mein huruf-e-nazm ho gaya
main bhul aaya khol kar kitab-e-umr paDhte waqt
sahab-e-gham jo guzra kal waraq waraq bhigo gaya
ab us ke ratjagon ne bhi pahan liya ghilaf-e-nind
jo chilla-kash tha ghaar mein hujum mein wo kho gaya
main mahw-e-sher-goi tha mujhe KHabar na ho saki
ki mere ird gird bhi zamana sara so gaya
Ghazal
Kuchh aansu ro lene ke baad nazar-e-KHwab ho gaya
Qasim Yaqub