kuchh aadmi samaj pe bojhal hain aaj bhi
rassi to jal gai hai magar bal hain aaj bhi
insaniyat ko qatl kiya jae is liye
dair o haram ki aaD mein maqtal hain aaj bhi
ab bhi wahi hai rasm-o-riwayat ki bandagi
matlab ye hai ki zehn muqaffal hain aaj bhi
baaten tumhaari shaiKH o barhaman KHata-muaf
pahle ki tarah ghair-mudallal hain aaj bhi
'rahi' har ek samt fasad o inad ke
chhae hue fazaon mein baadal hain aaj bhi

Ghazal
Kuchh aadmi samaj pe bojhal hain aaj bhi
Divakar Rahi