koshish to hai ki zabt ko ruswa karun nahin
hans kar milun sabhi se kisi par khulun nahin
qimat chuka raha hun main shohrat ki is tarah
wo ho ke rah gaya hun jo dar-asl hun nahin
ai maut kam hi rahta hun main apne aap mein
aisa na ho na ki aae tu aur main milun nahin
Ghazal
Koshish to hai ki zabt ko ruswa karun nahin
Rajesh Reddy

