koshish ke bawajud ye ilzam rah gaya
har kaam mein hamesha koi kaam rah gaya
chhoTi thi umr aur fasana tawil tha
aaghaz hi likha gaya anjam rah gaya
uTh uTh ke masjidon se namazi chale gae
dahshat-garon ke hath mein islam rah gaya
us ka qusur ye tha bahut sochta tha wo
wo kaamyab ho ke bhi nakaam rah gaya
ab kya bataen kaun tha kya tha wo ek shaKHs
ginti ke chaar harfon ka jo nam rah gaya
Ghazal
Koshish ke bawajud ye ilzam rah gaya
Nida Fazli