koshish hai shart yunhi na hathiyar phenk de
mauqa mile to KHat pas-e-diwar phenk de
chehre pe jo likha hai wahi us ke dil mein hai
paDh li hain surKHiyan to ye aKHbar phenk de
sayyaad hai to shahr mein aazad yun na phir
shayad kamand koi giraftar phenk de
kar dosti bhi zulm se aur dushmani bhi rakh
chehre pe thuk panw pe dastar phenk de
saya bhi kyun rahe kisi dushman ki rah mein
han kaT kar zamin pe ashjar phenk de
ruswa-e-shahr ab teri izzat isi mein hai
pagDi utar kar sar-e-bazar phenk de
gar hath kanpte hain to maidan mein na aa
himmat nahin to dur se talwar phenk de
Ghazal
Koshish hai shart yunhi na hathiyar phenk de
Shahzad Ahmad