koshish-e-paiham ko sai-e-raegan kahte raho
hum chale ab tum hamari dastan kahte raho
guftani baaten sahi naguftani baaten sahi
chup na baiTho koi afsana yahan kahte raho
maslahat kya baat jo haq hi wo kah do barmala
lakh hon ahbab tum se bad-guman kahte raho
hum ki the aazad aazadi ki KHatir mar gae
jine walo tum qafas ko aashiyan kahte raho
sirf kahne se zamin kya aasman ho jaegi
kuchh nahin hoga zamin ko aasman kahte raho
rah kya manzil hai kaisi har haqiqat hai fareb
karwan ko bhi ghubar-e-karwan kahte raho
kyun karo 'aKHtar' ki baaten wo to ek diwana hai
tum to yaro apni apni dastan kahte raho
Ghazal
Koshish-e-paiham ko sai-e-raegan kahte raho
Akhtar Ansari Akbarabadi