koi zari suni nahin jati koi jurm muaf nahin hota 
is dharti par is chhat ke tale koi tere KHilaf nahin hota 
kabhi damken sone ke zarre kabhi jhalke murghabi ka lahu 
kai pyase kab se khaDe hain magar pani shaffaf nahin hota 
koi zulf aDe to bikhar jaana koi lab dahken to ThiThur jaana 
kya tazkiya karte ho dil ka ye aaina saf nahin hota 
kai mausam mujh par guzar gae ehram ke in do kapDon mein 
kabhi patthar chum nahin sakta kabhi izn-e-tawaf nahin hota 
yahan taj us ke sar par hoga jo taDke shahr mein daKHil ho 
yahan saya huma ka nahin paDta yahan koh-qaf nahin hota
        Ghazal
Koi zari suni nahin jati koi jurm muaf nahin hota
Mohammad Izhar ul Haq

