اردو हिंदी
Koi ye zahid se ja ke kah de ki rasm ulTi shabab ki hai | Shaahi Shayari
koi ye zahid se ja ke kah de ki rasm ulTi shabab ki hai

Ghazal

Koi ye zahid se ja ke kah de ki rasm ulTi shabab ki hai

Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar

;

koi ye zahid se ja ke kah de ki rasm ulTi shabab ki hai
sawab mein hai gunah ki lazzat gunah mein lazzat sawab ki hai

ruKH-e-munawwar pe dar-haqiqat misal aisi naqab ki hai
mah-e-do-hafta ke ru-e-raushan pe jaise chadar sahab ki hai

kuchh aisi tauba-shikan har ek baat us but-e-la-jawab ki hai
hai gesuon mein ghaTa ka aalam nazar mein masti sharab ki hai

in aansuon ko gila na samjho ye dil se tang aa ke gir rahe hain
isi ne ruswa kiya hai har su isi ne miTTi KHarab ki hai

yahi wo kuza hai dil ki rahte hain band jis mein hazar dariya
yahi wo zarra hai dar-haqiqat ki jis mein zau aaftab ki hai

naqab ru-e-hasin uTha kar na is tarah hum ko bhul jao
muraden dil ki bhi puri kar do agar nazar kaamyab ki hai

kahan ki jannat kidhar ka dozaKH kidhar ki duniya kahan ka uqba
ye sab fasana ye sab kahani 'sahar' faqat shaiKH o shabab ki hai