اردو हिंदी
Koi yaad hi raKHt-e-safar Thahre koi rahguzar anjaani ho | Shaahi Shayari
koi yaad hi raKHt-e-safar Thahre koi rahguzar anjaani ho

Ghazal

Koi yaad hi raKHt-e-safar Thahre koi rahguzar anjaani ho

Saleem Kausar

;

koi yaad hi raKHt-e-safar Thahre koi rahguzar anjaani ho
jab tak meri umr jawan rahe aur ye taswir purani ho

koi naw kahin manjdhaar mein Dube chand se uljhe aur udhar
maujon ki wahi halqa-bandi dariya ki wahi tughyani ho

isi raat aur din ke mele mein tera hath chhuTe mere hathon se
tere sath teri tanhai ho mere sath meri virani ho

yun KHana-e-dil mein ek KHushbu aabaad hai aur lau deti hai
jo baad-e-shimal ke pahre mein koi tanha raat ki rani ho

kya DhunDte hain kya kho baiThe kis ujlat mein hain log yahan
sar-e-rah kuchh aise milte hain jaise koi rasm nibhani ho

hum kab tak apne hathon se KHud apne liye diwar chunen
kabhi tujh se hukm-uduli ho kabhi mujh se na-farmani ho

kuchh yaaden aur kitaben hon mera ishq ho aur yarane hon
isi aab-o-hawa mein rahna ho aur sari umr bitani ho