koi wajud hai duniya mein koi parchhain
so har koi nahin hota kisi ki parchhain
mere wajud ko mano to sath chalta hun
ki main to ban na sakunga tumhaari parchhain
yahi charagh hai sab kuchh ki dil kahen jis ko
agar ye bujh gaya to aadmi bhi parchhain
kai dinon se mere sath sath chalti hai
koi udas si ThanDi si koi parchhain
main apna-ap samajhta raha jise ta-umr
wo mere jaisa hayula tha meri parchhain
na KHush ho koi bhi tezi se baDhti qamat par
pas-e-ghurub na hogi bichaari parchhain
guman-e-hast hai hasti ka aaina-KHana
so apne-ap ko bhi jaan apni parchhain
main nisf sach ki tarah hun bhi aur nahin bhi hun
ki aadha jism hai mera to aadhi parchhain
phir us se us ke taghaful ka kya gila karna
ki 'iftiKHar-mughal' wo to thi hi parchhain
Ghazal
Koi wajud hai duniya mein koi parchhain
Iftikhar Mughal