koi wahshi chiz si zanjir-e-pa jaise hawa
dur tak lekin safar ka silsila jaise hawa
band kamre mein paraganda KHayalon ki ghuTan
aur darwaze pe ek aawaz-e-pa jaise hawa
girti diwaron ke niche sae jaise aadmi
tang galiyon mein faqat aks-e-hawa jaise hawa
aasman-ta-asman sunsan sannaTe ki jhil
daera-dar-daera meri nawa jaise hawa
do larazte hath jaise saya phailae shajar
kanpte honTon pe ek harf-e-dua jaise hawa
paniyon mein Dubti jaise ruton ki kashtiyan
sahilon par chiKHti koi sada jaise hawa
kitna KHali hai ye daman jis tarah daman-e-dasht
kuchh na kuchh to de use mere KHuda jaise hawa
Ghazal
Koi wahshi chiz si zanjir-e-pa jaise hawa
Irfan Siddiqi