koi TuTi hui kashti ka taKHta bhi agar hai la
abhi sahil pe hai to aur pesh-az-marg wawaila
andheri raat se Darta hai mir-e-karwan ho ke
andhera hai to apne dagh-e-dil ki raushni phaila
na ghabra tirgi se tu qasam hai sang-e-aswad ki
ki tariki hi mein soi hai sham-e-gesu-e-laila
mazaq-e-shadi-o-gham ta-kuja ai KHak ke putle
jo in donon se baala-tar hon aisi bhi koi shai la
sharab-e-asr-e-nau mein be-KHudi hai nai KHudi saqi
jo tu ne aaj se pahle pilai thi wahi mai la
man andaz-e-qadat-ra mi shanasam mard-e-afrangi
ki kapDe saf hain lekin badan napak dil maila
kisi ka naz-e-husn aur ai 'shafiq' apna ye kah dena
ki qimat mein agar dil ke barabar ho koi shai la

Ghazal
Koi TuTi hui kashti ka taKHta bhi agar hai la
Shafiq Jaunpuri