koi tohmat ho mere nam chali aati hai
jaise bazar mein har ghar se gali aati hai
teri yaad aati hai ab koi kahani ban kar
ya kisi nazm ke sanche mein Dhali aati hai
ab bhi pahle ki tarah pesh-raw-e-rang-o-sada
ek munh-band si be-rang kali aati hai
chal ke dekhen to sahi kaun hai ye duKHtar-e-raz
roz-e-awwal se jo bad-nam chali aati hai
ye mere karb ka aalam rahe yarab aabaad
is zamin se bu-e-aulad-e-'ali' aati hai
Ghazal
Koi tohmat ho mere nam chali aati hai
Anjum Khayali