koi to zehan ke dar par zarur dastak de
agar shuur na de la-shuur dastak de
tulu-e-subh ka manzar ajib hota hai
jab aasman se sada-e-tuyur dastak de
is intizar mein hai mera qasr-e-be-KHwabi
ki koi nind-pari koi hur dastak de
fasil-e-shahr-e-tamanna ki tirgi bhi chhaTe
kabhi to us pe koi subh-e-nur dastak de
phir ek bar azab-e-shikastagi se guzar
phir us ke dar pe dil-e-na-subur dastak de
ana ke KHol se niklen to yun bhi mumkin hai
dar-e-faqir pe dast-e-ghurur dastak de
hum aur nur ki KHairaat mangne jaen
hamare dar pe to KHud koh-e-tur dastak de
mujhe ghayab ka aalam ziyaada ras aaya
magar kabhi kabhi shauq-e-zuhur dastak de
hudud-e-waqt ke darwaze muntazir hain 'nasim'
ki tu ye fasle kar ke ubur dastak de
Ghazal
Koi to zehan ke dar par zarur dastak de
Naseem Sahar