koi to tark-e-marasim pe wasta rah jae
wo ham-nawa na rahe surat-ashna rah jae
ajab nahin ki mera bojh bhi na mujh se uThe
jahan paDa hai zar-e-jaan wahin paDa rah jae
main sochta hun mujhe intizar kis ka hai
kiwaD raat ko ghar ka agar khula rah jae
kise KHabar ki isi farsh-e-sang par so jaun
mere makan mein bistar mera bichha rah jae
'zafar' hai behtari is mein ki main KHamosh rahun
khule zaban to izzat kisi ki kya rah jae
Ghazal
Koi to tark-e-marasim pe wasta rah jae
Sabir Zafar