اردو हिंदी
Koi to hai jo aahon mein asar aane nahin deta | Shaahi Shayari
koi to hai jo aahon mein asar aane nahin deta

Ghazal

Koi to hai jo aahon mein asar aane nahin deta

Imran-ul-haq Chauhan

;

koi to hai jo aahon mein asar aane nahin deta
mere naKHl-e-tamanna pe samar aane nahin deta

liye phirta hai mujh ko qarya qarya ku-ba-ku har dam
magar sare safar mein mera ghar aane nahin deta

mere KHun se jalata hai charagh-e-shahr-e-ahl-e-zar
mere hi ghar ke aangan mein sahar aane nahin deta

khilata hai wo dil mein nit-nae gul aarzuon ke
magar honTon talak is ki KHabar aane nahin deta

jidhar bhi dekhta hun main nazar aata hai bas wo hi
mujhe apne alawa kuchh nazar aane nahin deta

khula rakhta hai mere samne aflak ka manzar
magar kuchh soch kar wo mere par aane nahin deta

KHudaya waqt ke us par kya asrar hain pinhan
musafir ko kabhi to lauT kar aane nahin deta

main jaana chahta hun par meri majburiyan 'imrran'
wo aana chahta hai koi Dar aane nahin deta