koi tanhai ka ehsas dilata hai mujhe
main bahut dur hun nazdik bulata hai mujhe
main ne mahsus kiya shahr ke hangame mein
koi sahra mein hai, sahra mein bulata hai mujhe
tu kahan hai ki teri zulf ka saya saya
har ghani chhanw mein le ja ke biThata hai mujhe
ai mere haal-e-pareshan ke nigah-dar ye kya
kis qadar dur se aaina dikhata hai mujhe
ai makin-e-dil-o-jaan main tera sannaTa hun
main imarat hun teri kis liye Dhata hai mujhe
rahm kar main teri mizhgan pe hun aansu ki tarah
kis qayamat ki bulandi se giraata hai mujhe
'shaz' ab kaun si tahrir ko taqdir kahun
koi likhta hai mujhe koi miTata hai mujhe
Ghazal
Koi tanhai ka ehsas dilata hai mujhe
Shaz Tamkanat