koi tara na dikha sham ki virani mein
yaad aaega bahut be-sar-o-samani mein
dam-ba-KHud rah gaya wo pursish-e-haalat ke baad
aaina ho gai main aalam-e-hairani mein
dil salamat rahe tufan se tasadum mein magar
hath se chhuT gaya hath pareshani mein
sahl karti main taKHatub mein mukarna tujh se
mushkilen aur thin is rah ki aasani mein
ab teri yaad jo aae bhi to yun aati hai
jaise kaghaz ki koi naw chale pani mein
aise aalam mein meri nind ka aaseb na puchh
KHwab mange hain teri chashm ki nigarani mein
khinch rakhti hai mere mere panw ko dahliz talak
koi zanjir hai is ghar ki nigahbani mein
Ghazal
Koi tara na dikha sham ki virani mein
Shahida Hasan