koi surat-ashna apna na begana koi
kuchh kaho yaro ye basti hai ki virana koi
subh-dam dekha to sara bagh tha gul ki taraf
shama ke tabut par roya na parwana koi
KHalwaton mein roegi chhup-chhup ke laila-e-ghazal
is bayaban mein na ab aaega diwana koi
ham-nashin KHamosh diwaren bhi sunti hain yahan
raat Dhal jae to phir chheDenge afsana koi
Ghazal
Koi surat-ashna apna na begana koi
Nasir Kazmi