koi subut na hoga tumhaare hone ka
na aaya fan jo qalam KHun mein Dubone ka
har ek baat pe bas qahqahe baraste hain
ye tarz kitna nirala hai dil ke rone ka
shuru tum ne kiya tha tumhein bhugatna hai
jo silsila tha ghalat-fahmiyon ko bone ka
shanaKHt ho to gai apne aur parae ki
nahin hai gham mujhe umr-e-aziz khone ka
'rais' fikr-e-suKHan raat bhar jagati hai
koi bhi waqt muqarrar nahin hai sone ka

Ghazal
Koi subut na hoga tumhaare hone ka
Raeesuddin Raees