اردو हिंदी
Koi subut-e-jurm jagah par nahin mila | Shaahi Shayari
koi subut-e-jurm jagah par nahin mila

Ghazal

Koi subut-e-jurm jagah par nahin mila

Abbas Dana

;

koi subut-e-jurm jagah par nahin mila
TuTe paDe the aaine patthar nahin mila

patthar ke jaisi be-hisi us ka nasib hai
wo qaum jis ko koi payambar nahin mila

jab tak wo jhuT kahta raha sar pe taj tha
sach kah diya to taj hi kya sar nahin mila

hum raat-bhar jalen bhi tumhein raushni bhi den
hum ko charagh jaisa muqaddar nahin mila

shahr-e-sitam bhi jashn-e-aman mat mana abhi
shayad sitamgaron ko tera ghar nahin mila

man bap ki duaon se baDh kar jahez mein
dulhan ko aur koi bhi zewar nahin mila

'dana' wo ab bhi aata hai tanhaiyon mein yaad
duniya ki bhiD mein jo bichhaD kar nahin mila