koi sitara-e-girdab aashna tha main
ki mauj mauj andheron mein Dubta tha main
us ek chehre mein aabaad the kai chehre
us ek shaKHs mein kis kis ko dekhta tha main
nae sitare meri raushni mein chalte the
charagh tha ki sar-e-rah jal raha tha main
safar mein ishq ke ek aisa marhala aaya
wo DhunDta tha mujhe aur kho gaya tha main
tamam umr ka hasil sarab o tishna-labi
mera qusur yahi tha ki sochta tha main
bigaD raha tha main duniya ke zawiye se magar
ek aur zawiya tha jis se ban raha tha main
nahin raha main tere raste ka patthar bhi
wo din bhi the tere ehsas mein KHuda tha main
mujhe gila na kisi sang ka na aahan ka
usi ne toD diya jis ka aaina tha main
Ghazal
Koi sitara-e-girdab aashna tha main
Saleem Ahmed