koi shikwa tha shikayat thi gila tha kya tha
us ne jo kan mein chupke se kaha tha kya tha
bhul kuchh mujh se hui thi ki KHata us ki thi
jo sabab tark-e-talluq ka bana tha kya tha
sochta hun wo tha diwana ki tha saudai
pyar mein tu ne jo ek nam diya tha kya tha
barha phone pe us ne jo kaha tha mujh se
samne kyun wo mere kah na saka tha kya tha
aaj tak bhi na samajh paya main aankhon mein teri
makr-e-rangin tha ki phir rang-e-wafa tha kya tha
tha agar ghair mujhe chhoD ke jaane wala
kyun gai raat main phir so na saka tha kya tha
us ki guftar mein laghzish thi nigahen bechain
us ki aankhon mein koi raaz chhupa tha kya tha
kyun wo maghrur sar-e-bazm khaDa tha 'gauhar'
us ki fitrat thi ki daulat ka nasha tha kya tha
Ghazal
Koi shikwa tha shikayat thi gila tha kya tha
Tanweer Gauhar