koi shisha na dar salamat hai
ghar mera dasht ki amanat hai
sare jazbon ke bandh TuT gae
us ne bas ye kaha ijazat hai
jaan kar fasle se milna bhi
aashnai ki ek alamat hai
us se har rasm-o-rah toD to di
dil ko lekin bahut nadamat hai
ru-ba-ru us ke ek shab jo hue
hum ne jaana ki kya inayat hai
do qadam sath chal ke jaan liya
kya safar aur kya masafat hai
kal siyasat mein bhi mohabbat thi
ab mohabbat mein bhi siyasat hai
raat palkon pe dil dhaDakta tha
tera wada bhi kya qayamat hai
Ghazal
Koi shisha na dar salamat hai
Khwaja Sajid