koi shai dil ko bahlati nahin hai
pareshani ki rut jati nahin hai
hamare KHwab chori ho gae hain
hamein raaton ko nind aati nahin hai
koi titli kaman-daron ke Dar se
faza mein pankh phailati nahin hai
har ek surat pe gard-e-maslahat hai
koi surat hamein bhati nahin hai
jis aazadi ke naghme hain zaban par
wo aazadi nazar aati nahin hai
badan be-harkat-o-be-his paDe hain
lahu ki bund garmati nahin hai
musalsal hosh ki chabuk-zani se
meri aashuftagi jati nahin hai
zawal-e-fikr-o-fan ki 'baKHsh' tohmat
jalal-e-harf par aati nahin hai
Ghazal
Koi shai dil ko bahlati nahin hai
Bakhsh Layalpuri