koi sawal na koi jawab dil mein hai
bas ek dard-o-alam ka sahab dil mein hai
jarahaten jo lagin tan pe zeb-e-tan kar lin
jo dil ke zaKHm the un ka hisab dil mein hai
agar lahu hai to aankhon mein kyun nahin aata
ye mauj-e-KHun hai ki mauj-e-sarab dil mein hai
mudam zahir-o-baatin mein ye KHalij rahi
nigah gharq-e-gunah ehtisab dil mein hai
sahifa-e-alam-e-rozgar hathon mein
khuli hui tere gham ki kitab dil mein hai
nazar ke samne uTThenge roz-e-hashr magar
wo dil mein dafn rahega jo KHwab dil mein hai
agar jigar mein ho sare-jahan ka dard to KHair
ye kya ki sare-jahan ka azab dil mein hai
Ghazal
Koi sawal na koi jawab dil mein hai
Khursheed Rizvi

