اردو हिंदी
Koi sada na dur talak naqsh-e-pa koi | Shaahi Shayari
koi sada na dur talak naqsh-e-pa koi

Ghazal

Koi sada na dur talak naqsh-e-pa koi

Anwar Anjum

;

koi sada na dur talak naqsh-e-pa koi
wo moD hai ki milta nahin rasta koi

han dil ki dhaDkanon se sada chhin lo magar
chup-chap hi jo aa ke yahan bas gaya koi

mana ki tere dar pe jhukin aa ke manzilen
par hum sa bhi mila tujhe sach sach bata, koi

dil ki zaban bahut hai koi ho jo ahl-e-dil
honTon se kya batae bhala muddaa koi

aankhen jo band kin to wo ubhre hain aaftab
bahar ki dhup se na raha wasta koi

hairan ho ke dil se ye puchha nigah ne
kya waqai mila na tujhe aashna koi

ya aasman tak nahin jati meri nawa
ya aasman pe sunta nahin hai nawa koi

jitne KHayal utne hi rangon ke daere
milta nahin kisi se kahin silsila koi

us sada-dil ko kya KHabar is unch-nich ki
'anjum' ke pas ja ke bane kya baDa koi