koi saya na koi ham-saya
aab-o-dana ye kis jagah laya
dost bhi mere achchhe achchhe hain
ek muKHalif bahut pasand aaya
halka halka sa ek KHayal sa kuchh
bhini bhini si dhup aur chhaya
ek ada thi ki rah rokti thi
ek ana thi ki jis ne uksaya
hum bhi sahib dilan mein aate hain
ye tere rup ki hai sab maya
chal paDe hain to chal paDe sain
koi sauda na koi sarmaya
us ki mahfil to meri mahfil thi
bas jahan-dariyon se uktaya
sab ne tarif ki meri 'shahpar'
aur main ahmaq bahut hi sharmaya
Ghazal
Koi saya na koi ham-saya
Shehpar Rasool