اردو हिंदी
Koi rishta na ho phir bhi rishte bahut | Shaahi Shayari
koi rishta na ho phir bhi rishte bahut

Ghazal

Koi rishta na ho phir bhi rishte bahut

Abdullah Javed

;

koi rishta na ho phir bhi rishte bahut
aap apne nahin aap apne bahut

raaz rakhte na hum is talluq ko gar
log rote bahut log hanste bahut

dil ki tanhaiyon ka mudawa nahin
ghum kar hum ne dekhe hain mele bahut

is hi buniyaad par kyun na mil jaen hum
aap tanha bahut hum akele bahut

jab thi manzil nazar mein to rasta tha ek
gum hui hai jo manzil to raste bahut

KHwab tabir ke moD par kho gae
yun ki tabir-dan paD ke soe bahut

peD ko kaTne wale dekhen zara
peD par hain bane aashiyane bahut

Dubne wale shayad ye batla saken
Dubne ko sahaare ke tinke bahut