koi rasta koi rahraw koi apna nahin milta
mohabbat ke musafir ko kahin saya nahin milta
meri aankhon se ashkon ke bajae ret girti hai
magar andar kahin bhi ret ka dariya nahin milta
baDi sada-dili se ek din bachche ne ye puchha
koi bhi shaKHs is duniya mein kyun hansta nahin milta
hamein har pal tumhaari hi kami mahsus hoti hai
tumhaari yaad se ghafil koi lamha nahin milta
KHayalon mein kai kirdar mujh se rose milte hain
haqiqat mein magar aisa koi chehra nahin milta
ajab jalwa-numai hai jidhar dekhun tumhi tum ho
mujhe to aaine mein aks bhi mera nahin milta
main miTTi se bane murda badan ko le ke phirta hun
magar is shahr mein 'ansar' dam-e-isa nahin milta

Ghazal
Koi rasta koi rahraw koi apna nahin milta
Rashid Qayyum Ansar