koi rafiq baham hi na ho to kya kije
kabhi kabhi tera gham hi na ho to kya kije
hamari rah juda hai ki aisi rahon par
riwaj-e-naqsh-e-qadam hi na ho to kya kije
hamein bhi baada-gusari se aar thi lekin
sharab zarf se kam hi na ho to kya kije
tabah hone ka arman sahi mohabbat mein
kisi ko KHu-e-sitam hi na ho to kya kije
hamare sher mein roTi ka zikr bhi hoga
kisi kisi ke shikam hi na ho to kya kije

Ghazal
Koi rafiq baham hi na ho to kya kije
Mustafa Zaidi