koi qissa naya suna kar dekh
harf se harf ko mila kar dekh
jo bhi chadar bichha ke baiTha hai
us se nazren sabhi mila kar dekh
na-gahani si ek aafat hai
us ke baatin ko kuchh ghuma kar dekh
hila-gar hai kisi nadamat mein
us ko rasta koi dikha kar dekh
KHud pe zahir nahin hai jo ek shaKHs
us ko mushaf koi paDha kar dekh
koi sada nahin jahan mein ab
KHud ko sada yahan bana kar dekh
koi bachcha udas baiTha hai
us ko tu bhi zara hansa kar dekh
tujh pe lazim nahin hai ab 'kausar'
tu bhi pichha kabhi chhuDa kar dekh

Ghazal
Koi qissa naya suna kar dekh
Sayeda Kausar Manawwar Shaikhpuri