koi puchhe na hum se kya hua dil
hua kya luT gaya dil miT gaya dil
ye kah kar de diya mujh ko mera dil
hamein kosega dega bad-dua dil
marna de jaegi mujh ko teri aankh
maza de jaega tujh ko mera dil
chaman mein jo khila gul main ye samjha
ki hai mera ye murjhaya hua dil
uThega lutf sohbat ka abhi to
nae tum ho nae hum hain naya dil
kisi se yun dagha karte nahin hain
are o be-murawwat bewafa dil
qayamat hai tumhaari chulbuli shakl
qayamat hai hamara chulbula dil
hamara dil hamare kaam ka hai
kahan paen tumhaare kaam ka dil
bahut hai jam ko apne jam par naz
zara lana mera TuTa hua dil
kisi ka zor phir chalta nahin hai
kisi se jab kisi ka mil gaya dil
use kis munh se kahte ho bura tum
tumhein kis dil se deta hai dua dil
gaya wo dagh le kar dagh de kar
nishani de gaya dil le gaya dil
hasin us ko bura samjhe bachi jaan
bura ban kar bahut achchha raha dil
kahen kya kis ne luTa kis ko luTa
luTe hum tum luTa joban luTa dil
wahi achchha tha us chhati ki sil se
badal deta kisi but se KHuda dil
tumhaari rah mein wo bhi paDa hai
zara dekhe hue TuTa hua dil
koi ab muft bhi KHwahan nahin hai
'riyaz' aisa gaya guzra hua dil
Ghazal
Koi puchhe na humse kya hua dil
Riyaz Khairabadi