koi puchhe mere mahtab se mere sitaron se
chhalakta kyun nahin sailab mein pani kinaron se
mukammal ho to sachchai kahan taqsim hoti hai
ye kahna hai mohabbat ke wafa ke hissa-daron se
Thahar jae dar o diwar par jab tisra mausam
nahin kuchh farq paDta phir KHizaon se bahaaron se
bagule aag ke raqsan rahe ta der sahil par
samundar ka samundar chhup gaya uDte shararon se
meri har baat pas-manzar se kyun mansub hoti hai
mujhe aawaz si aati hai kyun ujDe dayaron se
jahan ta-hadd-e-binai musafir hi musafir hon
nishan qadmon ke miT jate hain aisi rahguzaron se
Ghazal
Koi puchhe mere mahtab se mere sitaron se
Yasmeen Hameed