اردو हिंदी
Koi payam ab na payambar hi aaega | Shaahi Shayari
koi payam ab na payambar hi aaega

Ghazal

Koi payam ab na payambar hi aaega

Hakeem Manzoor

;

koi payam ab na payambar hi aaega
wo shab hai aasman se patthar hi aaega

ja kar wo apne shahr se us ko yaqin hai
pani pe koi naqsh bana kar hi aaega

itna badal gaya hun ki pahchanne mujhe
aaega wo to KHud se guzar kar hi aaega

be-dar ka ek makan rulata hai raat din
us ka bhi dil jo hoga kabhi bhar hi aaega

kya soch ke gaya hai KHalaon ki sair ko
ab ke parind lauT ke be-par hi aaega

KHushbu ka intizar na kar baiTh kar yahan
shishe ke is makan mein patthar hi aaega

patthar koi faza mein muallaq rahega kyun
'manzur' tai hai ye kisi sar par hi aaega