koi patthar hi kisi samt se aaya hota
peD phaldar main ek rahguzar ka hota
apni aawaz ke jadu pe bharosa karte
mor jo naqsh tha diwar pe nacha hota
ek hi pal ko Thaharna tha munDeron pe teri
sham ki dhup hun main kash ye jaana hota
ek hi naqsh se sau aks numayan hote
kuchh saliqe hi se alfaz ko barta hota
lazzaten qurb ki ai 'raaz' hamesha rahtin
shaKH-e-sandal se koi sanp hi lipTa hota
Ghazal
Koi patthar hi kisi samt se aaya hota
Raj Narayan Raaz