koi pahra laga nahin hota
main hi phir bhi raha nahin hota
KHun dil ka hua to ye jaana
naqsh kyun der-pa nahin hota
waqt kyun hai ghubar aankhon mein
aks bhi aashna nahin hota
kuchh to dil se kaha hai aankhon ne
zaKHm-e-dil kya hara nahin hota
phir use hi talash karta hun
jis ka koi pata nahin hota
jo bhi apni zaban se deta wo
zaiqa bad-maza nahin hota

Ghazal
Koi pahra laga nahin hota
Rafat Shameem