اردو हिंदी
Koi pahle to koi baad mein ayyar hua | Shaahi Shayari
koi pahle to koi baad mein ayyar hua

Ghazal

Koi pahle to koi baad mein ayyar hua

Khalid Iqbal Yasir

;

koi pahle to koi baad mein ayyar hua
apni KHwahish pe jo wabasta-e-darbar hua

ek tahi-jeb ki zari koi sunta kaise
raij aise hi nahin sikka-e-dinar hua

baat sultan se kya taKHliye mein us ki hui
maslahat-kesh batane pe na tayyar hua

muKHbiri meri hui chashm-e-zadan mein kaisi
qasr-e-dil hi mein sara tha ki mismar hua

rah mein aae hue shana-e-kohsar ke sath
abr Takra ke jo palTa to guhar-bar hawa

apni haq-goi ke ba-wasf nigun-sari par
dosh par apne mera sar hi mujhe bar hua

han ye mumkin hai magar itna zaruri bhi nahin
jo koi pyar mein haara wahi fankar hua

ek nazar us ne uchaTti hui ki thi 'yasir'
aur phir shahr mein rahna mujhe dushwar hua