اردو हिंदी
Koi nazr-e-gham-e-haalat na hone pae | Shaahi Shayari
koi nazr-e-gham-e-haalat na hone pae

Ghazal

Koi nazr-e-gham-e-haalat na hone pae

Abdul Rahman Khan Wasifi Bahraichi

;

koi nazr-e-gham-e-haalat na hone pae
aur har baat ho ye baat na hone pae

jo bhi surat hai inayat hai karam hai un ka
raegan un ki ye saughat na hone pae

un ki taswir se har lamha rahe raaz-o-niyaz
muntashir shan-e-KHayalat na hone pae

saKHt dushwar hai pabandi-e-ain-e-wafa
baat to jab hai tujhe mat na hone pae

jaan de dijiye aadab-e-mohabbat ke liye
dekhiye KHami-e-jazbaat na hone pae

bazm mein un ka koi zikr jo aa jata hai
hukm hota hai meri baat na hone pae

husn-e-kirdar se hasti ko saja lo 'wasfi'
zindagi nazr-e-KHurafat na hone pae