koi nazar na paD sake mujh haal-mast par
baiTha hua hun is liye pichhli nishast par
ek mauj-e-atishin rag-o-pai mein utar gai
rakha hai us ne jun hi kaf-e-dast, dast par
kab ras aai mujh ko meri fath ki KHushi
main dil-shikasta ho gaya us ki shikast par
hai yaad mujh ko aaj bhi pahla mukalima
qaim hun main to aaj bhi ahd-e-alast par
kaise sambhaal rakkha hai ek zat ne use
shashdar hun kaenat ke kul band-o-bast par
tai marhala kiya hai adam se wajud ka
pahuncha hun tab main manzil-e-na-hast-o-hast par
'sahir'! main apne-ap se aage nikal gaya
hairat-zada hain sab meri ruhani jast par

Ghazal
Koi nazar na paD sake mujh haal-mast par
Parvez Sahir