koi nashsha na koi KHwab KHarid
tira-baKHti hai mahtab KHarid
hai muzayyan dukan-e-la-adri
sau sawalon ka ek jawab KHarid
kisa-e-tamma mein chhupa dinar
phir bila KHauf ehtisab KHarid
baDi mabsut hai kitab-e-KHalq
koi achchha sa intiKHab KHarid
tujh mein hai bahr-e-be-karan ka wajud
tujh se kis ne kaha habab KHarid
tota-chashmi ke aib se hai pak
shakl bad hi sahi ghurab KHarid
tab kahin ja ke hoga tu 'ghaalib'
asadullah ka KHitab KHarid
madah-KHwan hoga har waraq 'rahi'
sirf ek lafz-e-intisab KHarid
Ghazal
Koi nashsha na koi KHwab KHarid
Rahi Fidai