koi nahin tha hunar-ashna tumhaare baad
main apne aap se uljha raha tumhaare baad
ye meri aankhen baDi tez raushni mein khulin
main chahta bhi to kya dekhta tumhaare baad
har ek baat hai uljhi hui zaban tale
har ek lafz koi bad-dua tumhaare baad
baDe qarine se rishte sajae the sare
bikhar bikhar gaya har silsila tumhaare baad
to kya kashish bhi meri le gae tum apne sath
koi to dekhta chehra mera tumhaare baad
tumhaare baad KHizan ho bahaar ho kuchh ho
kahan ruton se mera sabiqa tumhaare baad
bas ek lamha-e-hijran Thahar gaya mujh mein
na waqia na koi saneha tumhaare baad
ye zindagi ka naya zawiya khula mujh par
main KHud se kitna qarib aa gaya tumhaare baad
mere mizaj ki ye be-usuliyan chahen
tumhaare jaisa koi dusra tumhaare baad
wo rang rang tabiat suKHan suKHan 'hamid'
suno wo shaKHs kahin kho gaya tumhaare baad
Ghazal
Koi nahin tha hunar-ashna tumhaare baad
Hamid Iqbal Siddiqui