koi nahin hamara pursan-e-haal ab ke
pahle se bhi shikasta aaya hai sal ab ke
himmat to aa gai thi dukh jhelne ki lekin
aaya hai gham hi chal ke ek aur chaal ab ke
ki hai bahut ibaadat furqat mein aansuon ne
yazdan tu kar le un ka kuchh to KHayal ab ke
baaton ki naghmagi sab aahon mein Dhal gai hai
phaila udasiyon ka kaisa ye jal ab ke
do laKHt ho gaya hai ye dil-e-zar apna
uTha jo duriyon ka phir se sawal ab ke
barg-o-samar se aari tanha shajar ho jaise
jiwan ki hai 'safi'-ji aisi misal ab ke
Ghazal
Koi nahin hamara pursan-e-haal ab ke
Ateequrrahman Safi