koi nahin hai aane wala phir bhi koi aane ko hai
aate jate raat aur din mein kuchh to ji bahlane ko hai
chalo yahan se apni apni shaKHon pe lauT aae parinde
bhuli-bisri yaadon ko phir tanhai dohrane ko hai
do darwaze ek haweli aamad ruKHsat ek paheli
koi ja kar aane ko hai koi aa kar jaane ko hai
din bhar ka hangama sara sham Dhale phir bistar pyara
mera rasta ho ya tera har rasta ghar jaane ko hai
aabaadi ka shor-sharaba chhoD ke DhunDo koi KHaraba
tanhai phir shama jala kar koi harf sunane ko hai
Ghazal
Koi nahin hai aane wala phir bhi koi aane ko hai
Nida Fazli